Saturday, September 29, 2012

Hindi Sad Shayari


Wo mujhe chahti hai , par apna nahin sakti
Mujhe bhulane ka sadma utha nahi sakti
Ajib hai uski mohabbat ka andaz
Khafa toh karti hai , par mana nahin sakti.

khushbu ne phool ko khas banaya,
phool ne mali ko khas banaya,
chahat ne mohabbat ko khas banaya,
kambakht mohabbat ne kitno ko devdas banaya.

Zamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu.

Duniya badal gayi hai chatting se
Hoti hai ab hacking chatting se
Nikalna ho gaya sabka band chatting se
Kyunki hoti hain ab to setting chatting se.


Tuesday, September 25, 2012

Cute Thought


Wo meri Qasm leta nahi ilzaam samajh kar

Wo meri Qasm leta nahi ilzAAm samajh kar,
Or dey deta hy apni Qasm inAAm samaj kar,
Wo janta hy mujy us sy kitni Mohabat hy,
Phir bhi Guftogu karta hy anjaan samajh kar.
Mainy usay apny dil ki dharkan main basaya hai.
Or wo dil main rakhta hai mujy mehman samajh kar.
Agar usay hum sy mohabbat nhe to na sahi.
Magar Q ilzam daita hai gumnam smj kr.
Mainy apni sari khushiyan usky nam kr di
Or wo hamain pyar karta hai ehsaan samajh kar.

Cute Ghazal

Muddat se jis k wastey dil beqarar tha.
Wo lout kar na aaya magar intezar tha…
Jo humsafar tha chor gaya raah me mujhe..
Main phas gaya bhanwar me or wo darya k paar tha…
Manzil qareeb aayi to tum door ho gaye..
Itna to tum batao k ye kaisa pyar tha…
Ye baat umer bhar samajh na paya main.
Q dil mera us bewafa ka talabgaar tha.

Ye jo zindagi hai ajeeb c

Ye jo zindagi hai ajeeb c,
Ye jo roz-o-shab hain udas sy,
Ye jo rabty hain dary dary,
Ye jo durian c hain darmEyan,
Mai agr tujy jo sanwaar dun,
Tery roz-o-shab ko nikhar dun
Mera hath tham k ye ahed do,
Mujy aese hi dil mei rakho ge tum,
Mery sath sath raho gy tum,
Mery humsafr mery hum nasheen,
Tujy is qadr jo mai peyar dun,
K ye zindgi hi haar dun,To batao na mery bad b?
Yehi ehad apna nibhao ge,
YA MUJHKO TUM BHOOL JAO GY..